Friday 27 May 2011

Bhul na jana hme






                                                               Ghazal


Ghar jane ki khusi or tmse juda hone ka gum v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.

kal college band ho jayega,
muhabbat ka ye silsila jra tham jayega..
bas teri yado ka sahara rahega..
jis se "sonu" jra-jra saham jayega..

aasiqui me mere thoda awarapn v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.

aaz 4th semester ka akhiri din hai...
pr bht  bate abhi baki hai,
sajde ki jarurat nhi mujhe ,
meri juban pr tera nam hi kafi hai..

tere khubsurat aankho ka gunah hai ye, jo mere dil me thode gum v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.



Sunday 22 May 2011

"Aadi"....tu kahan hai ???

                                                                                                                                                                    
"dedicated to our loving frnd 'aditya narayan mishra', who is no more"....love u aditya...!!!

                          ghazal=my tears


Ek sirf tum na the 'aditya', to yu laga jaise puri kaynat tanha hai..
kitne akele ho gye hm sabhi dost,
bata na sale tu kahan hai..??
bata na sale tu kahan hai..??

tu ek jalwa tha jo kho gya,
hme chhod kr na jane, tu kon si duniya ka ho gya,
tu ek sitara tha jo tut gya,
hakikat se khwabon me kyu laut gya,

tere bina sirf gamo ka samander yahan hai..
bata na sale,tu kahan hai..??
bata na sale, tu kahan hai..??

abhi to puri masti baki thi,
teri us se setting abhi baki thi,
mujhse guitar sikhna tera baki tha,
youtube  wala wada abhi baki tha,
aage ki planning abhi baki thi,
propose karne ka irada v baki tha,

pr kyu chala gya,hme chhod kr..
dosti k wade se muh mod kr..

tera intjar hm sab ko abhi v yahan hai..
bata na sale tu kahan hai..??
bata na sale tu kahan hai..??

Tuesday 17 May 2011

"girls hostel ki khidkiyaan"


"mujhe uski o ada bht pasand hai ,jb o hme dekh kr apne parde or khidkiyan band kr leti hai"







                                                      ghazal

"In khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,
ab to pardon ko v sikwa hai hmse,
ki hm unki khidkiyo ko kyu dekhte,
pr jb khidkiyon se hi ho gyi hai muhabbat  hme, 
to unse ye mera dil lagana dekh lo,

In khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,

chahat hai, kashis hai, muhabbat or aarzu hai,
mere CAMPUS aane se inke pichhe na jane kaisi 'guftgu' hai,
ladkiyo ko to  jalan hai in khidkiyo se,
ki aakhir ye kaisi 'muhabbat-e-justaju' hai,
khidkiyo k piche ab unka sarmana dekh lo,

in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,

yakin nhi hai na hm pr tumhe to..
meri in khuli baho ka intjar dekh lo,
thakti nhi ye aankhe meri tujhe  dekh kr,
hai kitna tm pr aitwar dekh lo,

kitna ho gya ye "sonu" diwana dekh lo
in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,
in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo"...