Friday 18 March 2011

is holi me...

   


Na bheega payein  daman tera is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na chhu paye badan ko tere is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na bhar payen tere muskurahat ko rango se..
Afsos rahega hume iska umr bhar… 

Socha tha rango se sajayenge duniya teri,
Chahe iske kimat muskurahat ho meri,..
Socha tha Palko se  range chura lunga teri,
Chahe zamana mita de zindagi meri
.
Socha tha uthayenge tujhe bahon mein
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Jv yad aati hai teri gulabi labon ki…
Palko mein chhipe kajrare rango ki,
Ji chahata hai bheego lun  khud ko,
Dooba lun khud ko is berang holi me,

judai  se hume lagta hai darr,
Afsos rahega hume  iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Chalo dil ko samjha lete hain..
Palko ko apne bheega lete hain…
Tere yad se hi kuch rang chura lete hain..
In tanhaiyon ko rangeen bana lete hain..
Haqiqat mein na sahi sapno ko hi hassen bna lete hain.

Na bhar paye khud ko tere haseen rango se…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr  bhar…




teri chahat ,meri pyas............






Aaj kyu tu itni udas hai,
surkh hontho ko sayad sabnam ki pyas hai,
nhi ho paya aaz didar tera,
sayad ab nye milan ki aas hai,


bata na...!!  aaz tu kyu itni udas hai...??


tere chehre ki ek jhalak jo mil jaye,
tere aankho k palak jo hil jaye,
tere hontho pe hansi jo thodi khil jaye,
to aaz  fir 'sonu' ki manjil mil jaye,


bata na ...!! tere nigaho ko kiski talas hai...??
aaj tu kyu itni udas hai..??


meri chahat teri hansi hai,
meri mannat teri khusi hai,
meri ibadat me sirf tu hai,
pr kyu teri aankho me ye nami hai,


teri tabbasum   hi meri jindagi ki sans hai,


bata na ...!!tere nigaho ko kiski talas hai...??
aaj tu kyu itni udas hai..??

teri dosti mein...............


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,


galti to meri hai,jo dosti ka hath badhaya,
dosto k mahfil me khud ko akela paya,
tumhe to hm apna sirf dost mante hai,
pr logo ne pyar-pyar kah k mera majak udaya,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,


sayad tum darti ho meri dosti se,
pr pta nhi kyu tum kuch khas dost si lagne lagi ho,
tum darti ho meri wafa se,
kyuki ab tum bewfa si hone lagi ho,




tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,




kal se bat nhi karenge, kisi k khas nhi banenge.
mera pyar mere pass hai,
teri dosti k mohtaz nhi banenge,
chale jayenge bahut dur tumse fir laut kar nhi aayenge.


apni palko ko jhuka hi rahne do,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,




 syad nhi samajh payi tu hme,
khair chhodo, akela hi rahne do hme,
jindagi jiyo apni khushali se,
dosto k tane sunane do hme,
tarrakki kadam chume tumhari,
biraniyon me rahne do hme,


pr yaad rakhna tujhse dosti ka hath ek sacha dost badhaya tha,
sayad teri khamosi ne use bahut sataya tha.
o chahta tha tum hasti raho, kyuki teri aankho ne use sab btaya tha.




 uff ye tumhe kya hua ...??
 mujhe hi aansu bahane do ,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi  ho