Thursday 15 December 2011

Mai sayar to nhi....

                                       

Socha hai kuch tumhare nam likh jaunga....
ye jami or ye aasman likh jaunga....
juba se jo batein apni kah nhi sakta...
GAJAL bna k o apne paigam likh jaunga...

                             Socha hai kuch tumhare nam likh jaunga....
                             Socha hai kuch tumhare nam likh jaunga....

B.tech ki yadein to hmesha mere sath hongi...
jb akele honge tb in yadon  se hi bat hogi...
jikr to hoga hr bat me tumhara hi...
tb tumse sirf khwabon me hi mulakat hogi...

                              teri chahat ,teri muskurahat, teri batein,teri aankho ko,
                              apne dil me basa k jaunga....
                              Socha hai kuch tumhare nam likh jaunga....
                              Socha hai kuch tumhare nam likh jaunga....


Friday 9 December 2011

"koi tumsa nhi"


ye tum thi ya koi tumsa tha...
us waqt, jb dur se maine tumko dekha tha...
 ye tum thi ya koi tumsa tha...

sard hawaon k sath teri khusbu to aayi thi...
pr kohre ki dhundh mere aankho pe chhayi thi..
dil mere dhadka tha use 'tum' samajh kr,
ye duri mere hontho pe azib khamoshi layi thi...
socha ki aawaz du, rokun tujhe...
 pr dosto k dar se mujhe bht sarm aayi thi...
 majak bnate o mera pure 'CAMPUS' me..
 ye soch kr maine apni aawaz dabayi thi...

 hasrate to dil  me bht hi hui...
 halchale v dil me bht hui...
bhar aayi aankhe, bht dino bad  koi tumsa dekh kr...
 surkh mausam ne ye ,'SONU' k imtihan ki ghadi banayi thi...

 hal mera hr bar ki tarah ,kuch waisa tha...
 uljhan thi ki,   ye tum thi ya koi tumsa tha...
 ye tum thi ya koi tumsa tha...

us waqt, jb dur se maine tumko dekha tha...
ye tum thi ya koi tumsa tha...
                                   






Sunday 27 November 2011

hum bharat k yuva....

                                  

हम भारत के युवाओं को इतिहास नया बनाना है...
अपने इस तिरंगे को शिखर पे लहराना है......

सचिन ने बल्लेबाजी में ,
अभिनव ने निशानेबाजी में ,
राजनीती और रणनीति में ,
अबिस्कार और परमाणु सक्ति में ..
युवाओं ने भारत का परचम लहराया है ...  

अब , 
हम भारत के युवाओं को इतिहास नया बनाना है...
अपने इस तिरंगे को शिखर पे लहराना है......

है नये सोच की सक्ति हम में ,
है नये उमंग की ज्योति हममे ,
ये वक़्त का दरिया क्या रोकेगा,
समंदर की गहराइयों से लायी है मोती हमने ,

विश्व शांति का ताज अपने हिंद को पहना ना है ...
हम भारत के युवाओं को इतिहास नया बनाना है...
अपने इस तिरंगे को शिखर पे लहराना है......

कल चाँद को छूना दूर था ..
वो  आज हमारे हाथों में है .
प्यार भाईचारे  और शांति की चाहत हमारे बातों में है..
नवजीवन लेकर आये है ,कुछ अच्छा कर के जाना है ..

हम भारत के युवाओं को इतिहास नया बनाना है...
अपने इस तिरंगे को शिखर पे लहराना है......

.






Friday 16 September 2011

muskurata chehra or tuta dil...


                                                                                     
meri sayri pe wah wah karne wale....
kash tune is dil ki ek 'aah' suni hoti...
ahsas jb hota tumhe mere dard ka..
tb tumhare aankho me v meri tarah nami hoti...


 meri sayri pe wah wah karne wale....
 kash tune is dil ki ek 'aah' suni hoti...


dosti ka hath dikha kar unhone ,mujhe tamacha kyu mara...
kash unhone mujhse o ek bat hi kahi hoti...
chale jate hm bht dur unki duniya se...
fir  meri wajah se unhe, kabhi koi takalluf nhi hoti..


 meri sayri pe wah wah karne wale....
 kash tune is dil ki ek 'aah' suni hoti...


hm gunahgar hai ya o bekasur thi...
galati hmari hai ya   o majbur thi...
koi kami jarur thi meri chahat me..
tabhi to o pass hoke v mujhse dur thi..
pr jo kah deti tu o bat mujhse..
to aaz is badnam sayar ki palke bhingi nhi hoti..


meri sayri pe wah wah karne wale....
kash tune is dil ki ek 'aah' suni hoti... 
ahsas jb hota tumhe mere dard ka..
tb tumhare aankho me v meri tarah nami
hoti...

Saturday 27 August 2011

eid mubarak.....

                                              
                                             
aye mere chand tu bas falak pe rahna,
hm 'CAMPUS'  se karenge didar tera...
ki aaz hasin id hai...
ki aaz hasin id hai...
   
bht dino se  hai intjar kiya..
pure ramjan khuda se yahi fariyad kiya...
ki taraste nigaho ki tiSnagi bujha de khuda..
eid ka chand hme dikha de khuda...

aaz tahe-dil se hoga ,ijhar mera..
ki aaz hasin eid hai...
ki aaz hasin eid hai...

khuda se jb v manga tera didar manga...
tu mujhe roz dikhe ,or tera pyar manga..
teri roshni me dubna chaha, or tera ekrar manga..
tu kubul kr le ibadat meri, 
de de mujhe jo tumse har bar hai manga...

aaz jasn manayenge hum, kar k didar tera...
ki aaz hasin eid hai ...
ki aaz hasin eid hai...
                      
[aap sb ko sonu pandey ki or se 'eid mubarak']








tu ruth na jana mujhse....



"o chali gai aise mujhe chhod k, jaise ki uske jane k bad uski yaadein hme km satayegi...
pr o pathther-dil kya jane mere hr 'aah' me o apna nam hi payegi"
    
                          Ghazal
sajan tu ruth n jana mujhse....
bht khwab sajaye hai hmne tere khatir,  bs tu chhut n jana mujhse...
sajan tum ruth n jana mujhse..


tu parwah n karna meri , mai khus hu is jamane me...
mat pochhna mere aashuo ko kabhi,kyu ki sukun milta  hai ise bahane se...
dard-e-dil to hum tumhe suna hi dete...
pr bht  dard hota hai mujhe ,tumse apna dard dikhane me...


mere jakhmo ka kya hai...bs  tu jud n jana usse...
sajan tu ruth n jana mujhse..


bht khwab sajaye hai hmne tere khatir,  bs tu chhut n jana mujhse...
sajan tu ruth n jana mujhse..


meri ye chahat nhi ki tu mujhe chahe..
bas ye gujaris hai ki tu  mujhse khafa  n rahe...
tu jise v chahe o 'main' ho jaun...
bewafao jaisi teri wafa n rhe....


jakhm itna n dena ki, tut hi jau khud se...
sajan tu ruth n jana mujhse....


tu mahsus  n karna meri chahat ko,
koi bat nhi.... bs tu jud n jana us se...
sajan tu ruth n jana mujhse..
sajan tu ruth n jana mujhse..





Saturday 13 August 2011

Mai Sayar Badnam.....





Mere honto pe jo tera nam na hota…..
To "miss. invisible"  likh kr aaz mai badnam na hota….
Sukun se rahte hm  v apne gharo me..
CAMPUS  me mera majak sare aam na hota…



Gumnami ki janjiro ne  hme is kadar ghera hai..
Jo mujhe dekh kr tune hr bar yu muh fera hai…
Teri chahat k liye, tadapta ye dil mera hai..
Tu bs mahsus to kar,
Meri har sanso me sirf tera hi basera hai…



 Maine us din sapne me jo tujhe pukara n hota..
To dosto k tane sun-sun kr paresan n hota…
Sukun se rahte hm  v apne gharo me..
CAMPUS  me mera majak sare-aam na hota…

Mere honto pe jo tera nam na hota…..
To "miss. invisible"  likh kr aaz mai badnam na hota…


Ab tum hi bata do hm kya kare…
Tujhe ji bhar k pyar kare …
ya  yuhi logo se darte rhe…
Tmse aankhe mila kr ijhar kare…
ya yuhi chup chup kr aahen bharte rhe..
kb tm fursat me hogi meri khatir…
bolo kb tk tera intjar kare..


mere dil pe “dastak-e-gum”  jo subah sam n hota…
To dosto k tane sun-sun kr paresan n hota…
Sukun se rahte hm  v apne gharo me..
CAMPUS  me mera majak sare aam na hota…


Tum aise sahar me kyu aaye “sonu miyan”
Jahan sauda  siskiyon ka  khuleyam hai hota…

Mere honto pe jo tera nam na hota…..
to "miss. invisible"  likh kr aaz mai badnam na hota…
 o gazal likh kr aaz mai badnam n hota....

Thursday 4 August 2011

Miss. invisible....





"इस कहानी के सभी पात्र और घटनाएँ काल्पनिक हैं . इनका वास्तविक जीवन से कोई सम्बन्ध नही है . अगर किसी के  साथ इसकी
 कोई समानता
 होती
 है तो इसे मात्र एक संयोग कहा जायेगा"



                                                               Ghazal

Mere dil me ye jo sunami si halchal hai…
Uski wajah,mera khwab meri chahat “miss invisible” hai…
Jo karib mere har waqt, har pal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai…


Chehra masum hai uska itna,
Ki aaine v didar ko taraste hain…
Najuki unke labon ki,
Jaise ful-e-gulab baraste hain…
Nain kajrare hain aise,
Jaise asman me kale badal machalte hain…
Husn hasin or jism jawan hai,
Aisa lagta hai us se apne purane riste hai..

Jo sirf mahsus hoti,pr aankho se ojhal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai..


Aarju hai use pane ki,pr ijhar-e-muhhabbat se darte hai hm…
Use khabar nhi hai ki, us se kitna pyar karte hai hm..
Saham jate hai, kahin o hm se ruth n jaye..
Haan ye sach hai ki,unki yaad me ab pal-pal marte hain hm…
Usk pass mere liye v waqt hoga,
is intjar me meri ye aankhe hai num…

jis se dillagi meri pahle-pahal hai..
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai..

Jo karib mere har waqt, har pal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai...




Wednesday 29 June 2011

Aaz Kya Likhu........


            

Uljhan me hu ki aaz kya likhu….
Fir ohi fasana ya, kuch dard-e-dil tere nam likhu..
Jitne sitam kiye hain tune is masum dil pr,
Kya sbke samne iska bayan likhu…

Uljhan me hu ki aaz kya likhu….


Az meri kalam thak gyi hai..
Sayad Meri   ungliyo me o himmat n rhi…
Meri gazal k wajah ,  mere aanshu v ab sukh gye ..
Sayad teri najar me meri muhhabat ki ab koi kimat n rhi…
Sanse ab ukhadne lagi hai…
Sayad tujhe pane ki apni kismat n rhi…

Kya teri bewfai k  kisse khule-aam  likhu..
Uljhan me hu ki aaz kya likhu….


Aaz nind nhi hai meri aankho ko..
Teri yaado ka sirf pahra hai ,
Tera intjar ab v hai meri baho ko..
Tabaasum nhi ab gamo ka sehra hai...
Marhum lagane se kap rhe hanth mere,
Mere dil pr tere jakhm-e-nisan bht gahra hai..



chhup-chhup kr jo tmhe dekhta  hai "sonu" 
main building se....
kya ohi  sare kisse is bar likhu...
uljhan me hu ki aaz kya likhu....
uljhan me hu ki aaz kya likhu...



Friday 17 June 2011

Meri chhoti si ek love story.......








"January me jb use dekha,
February me maine us ke fere lagaye..
March milne ko tarasta rha,
Aprail me apne aanshu bahaye…

May me o to apne ghar chali gai,
June me hm delhi aake yuhi jalte rhe…
July me jb tut kr uski yaad aai,
Hm aankho se barsat krte rhe…


Fir aaya august ka mausam suhana,
Badle mere tewar or hmse jalne laga jamana…
September me jb maine likha use ek letter,
Usne pyar se bulaya ‘M.B.A building’ jra aana…
October me start ki maine us se chatting,
November me number lene ka mila mujhe ek bahana…

Fir ye kya hua..??
1 mahine me hi meri call waiting ho gyi..
December me dost se mere, us  Sali ki setting ho gyi"…


Friday 27 May 2011

Bhul na jana hme






                                                               Ghazal


Ghar jane ki khusi or tmse juda hone ka gum v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.

kal college band ho jayega,
muhabbat ka ye silsila jra tham jayega..
bas teri yado ka sahara rahega..
jis se "sonu" jra-jra saham jayega..

aasiqui me mere thoda awarapn v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.

aaz 4th semester ka akhiri din hai...
pr bht  bate abhi baki hai,
sajde ki jarurat nhi mujhe ,
meri juban pr tera nam hi kafi hai..

tere khubsurat aankho ka gunah hai ye, jo mere dil me thode gum v hai..
bhul na jana hme in 2 mahino me ,tere chahne walo me hm v hai.



Sunday 22 May 2011

"Aadi"....tu kahan hai ???

                                                                                                                                                                    
"dedicated to our loving frnd 'aditya narayan mishra', who is no more"....love u aditya...!!!

                          ghazal=my tears


Ek sirf tum na the 'aditya', to yu laga jaise puri kaynat tanha hai..
kitne akele ho gye hm sabhi dost,
bata na sale tu kahan hai..??
bata na sale tu kahan hai..??

tu ek jalwa tha jo kho gya,
hme chhod kr na jane, tu kon si duniya ka ho gya,
tu ek sitara tha jo tut gya,
hakikat se khwabon me kyu laut gya,

tere bina sirf gamo ka samander yahan hai..
bata na sale,tu kahan hai..??
bata na sale, tu kahan hai..??

abhi to puri masti baki thi,
teri us se setting abhi baki thi,
mujhse guitar sikhna tera baki tha,
youtube  wala wada abhi baki tha,
aage ki planning abhi baki thi,
propose karne ka irada v baki tha,

pr kyu chala gya,hme chhod kr..
dosti k wade se muh mod kr..

tera intjar hm sab ko abhi v yahan hai..
bata na sale tu kahan hai..??
bata na sale tu kahan hai..??

Tuesday 17 May 2011

"girls hostel ki khidkiyaan"


"mujhe uski o ada bht pasand hai ,jb o hme dekh kr apne parde or khidkiyan band kr leti hai"







                                                      ghazal

"In khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,
ab to pardon ko v sikwa hai hmse,
ki hm unki khidkiyo ko kyu dekhte,
pr jb khidkiyon se hi ho gyi hai muhabbat  hme, 
to unse ye mera dil lagana dekh lo,

In khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,

chahat hai, kashis hai, muhabbat or aarzu hai,
mere CAMPUS aane se inke pichhe na jane kaisi 'guftgu' hai,
ladkiyo ko to  jalan hai in khidkiyo se,
ki aakhir ye kaisi 'muhabbat-e-justaju' hai,
khidkiyo k piche ab unka sarmana dekh lo,

in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,

yakin nhi hai na hm pr tumhe to..
meri in khuli baho ka intjar dekh lo,
thakti nhi ye aankhe meri tujhe  dekh kr,
hai kitna tm pr aitwar dekh lo,

kitna ho gya ye "sonu" diwana dekh lo
in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo,
ruk-ruk kr ye palke hilana dekh lo,
in khidkiyon ka mujhse najare milana dekh lo"...

Friday 18 March 2011

is holi me...

   


Na bheega payein  daman tera is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na chhu paye badan ko tere is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na bhar payen tere muskurahat ko rango se..
Afsos rahega hume iska umr bhar… 

Socha tha rango se sajayenge duniya teri,
Chahe iske kimat muskurahat ho meri,..
Socha tha Palko se  range chura lunga teri,
Chahe zamana mita de zindagi meri
.
Socha tha uthayenge tujhe bahon mein
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Jv yad aati hai teri gulabi labon ki…
Palko mein chhipe kajrare rango ki,
Ji chahata hai bheego lun  khud ko,
Dooba lun khud ko is berang holi me,

judai  se hume lagta hai darr,
Afsos rahega hume  iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Chalo dil ko samjha lete hain..
Palko ko apne bheega lete hain…
Tere yad se hi kuch rang chura lete hain..
In tanhaiyon ko rangeen bana lete hain..
Haqiqat mein na sahi sapno ko hi hassen bna lete hain.

Na bhar paye khud ko tere haseen rango se…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr  bhar…




teri chahat ,meri pyas............






Aaj kyu tu itni udas hai,
surkh hontho ko sayad sabnam ki pyas hai,
nhi ho paya aaz didar tera,
sayad ab nye milan ki aas hai,


bata na...!!  aaz tu kyu itni udas hai...??


tere chehre ki ek jhalak jo mil jaye,
tere aankho k palak jo hil jaye,
tere hontho pe hansi jo thodi khil jaye,
to aaz  fir 'sonu' ki manjil mil jaye,


bata na ...!! tere nigaho ko kiski talas hai...??
aaj tu kyu itni udas hai..??


meri chahat teri hansi hai,
meri mannat teri khusi hai,
meri ibadat me sirf tu hai,
pr kyu teri aankho me ye nami hai,


teri tabbasum   hi meri jindagi ki sans hai,


bata na ...!!tere nigaho ko kiski talas hai...??
aaj tu kyu itni udas hai..??

teri dosti mein...............


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,


galti to meri hai,jo dosti ka hath badhaya,
dosto k mahfil me khud ko akela paya,
tumhe to hm apna sirf dost mante hai,
pr logo ne pyar-pyar kah k mera majak udaya,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,


sayad tum darti ho meri dosti se,
pr pta nhi kyu tum kuch khas dost si lagne lagi ho,
tum darti ho meri wafa se,
kyuki ab tum bewfa si hone lagi ho,




tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,




kal se bat nhi karenge, kisi k khas nhi banenge.
mera pyar mere pass hai,
teri dosti k mohtaz nhi banenge,
chale jayenge bahut dur tumse fir laut kar nhi aayenge.


apni palko ko jhuka hi rahne do,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi ho,




 syad nhi samajh payi tu hme,
khair chhodo, akela hi rahne do hme,
jindagi jiyo apni khushali se,
dosto k tane sunane do hme,
tarrakki kadam chume tumhari,
biraniyon me rahne do hme,


pr yaad rakhna tujhse dosti ka hath ek sacha dost badhaya tha,
sayad teri khamosi ne use bahut sataya tha.
o chahta tha tum hasti raho, kyuki teri aankho ne use sab btaya tha.




 uff ye tumhe kya hua ...??
 mujhe hi aansu bahane do ,


tanha dil ko tanha rahne  do.


hey... rahne do na kyu dosti ka ehsan kar rhi ho,
bat kr ne ka mn nhi to mat karo, kyu paresan kr rhi  ho