Friday 18 March 2011

is holi me...

   


Na bheega payein  daman tera is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na chhu paye badan ko tere is holi mein..
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Na bhar payen tere muskurahat ko rango se..
Afsos rahega hume iska umr bhar… 

Socha tha rango se sajayenge duniya teri,
Chahe iske kimat muskurahat ho meri,..
Socha tha Palko se  range chura lunga teri,
Chahe zamana mita de zindagi meri
.
Socha tha uthayenge tujhe bahon mein
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Jv yad aati hai teri gulabi labon ki…
Palko mein chhipe kajrare rango ki,
Ji chahata hai bheego lun  khud ko,
Dooba lun khud ko is berang holi me,

judai  se hume lagta hai darr,
Afsos rahega hume  iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Chalo dil ko samjha lete hain..
Palko ko apne bheega lete hain…
Tere yad se hi kuch rang chura lete hain..
In tanhaiyon ko rangeen bana lete hain..
Haqiqat mein na sahi sapno ko hi hassen bna lete hain.

Na bhar paye khud ko tere haseen rango se…
Afsos rahega hume iska umr bhar…
Afsos rahega hume iska umr  bhar…




No comments:

Post a Comment