Thursday 4 August 2011

Miss. invisible....





"इस कहानी के सभी पात्र और घटनाएँ काल्पनिक हैं . इनका वास्तविक जीवन से कोई सम्बन्ध नही है . अगर किसी के  साथ इसकी
 कोई समानता
 होती
 है तो इसे मात्र एक संयोग कहा जायेगा"



                                                               Ghazal

Mere dil me ye jo sunami si halchal hai…
Uski wajah,mera khwab meri chahat “miss invisible” hai…
Jo karib mere har waqt, har pal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai…


Chehra masum hai uska itna,
Ki aaine v didar ko taraste hain…
Najuki unke labon ki,
Jaise ful-e-gulab baraste hain…
Nain kajrare hain aise,
Jaise asman me kale badal machalte hain…
Husn hasin or jism jawan hai,
Aisa lagta hai us se apne purane riste hai..

Jo sirf mahsus hoti,pr aankho se ojhal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai..


Aarju hai use pane ki,pr ijhar-e-muhhabbat se darte hai hm…
Use khabar nhi hai ki, us se kitna pyar karte hai hm..
Saham jate hai, kahin o hm se ruth n jaye..
Haan ye sach hai ki,unki yaad me ab pal-pal marte hain hm…
Usk pass mere liye v waqt hoga,
is intjar me meri ye aankhe hai num…

jis se dillagi meri pahle-pahal hai..
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai..

Jo karib mere har waqt, har pal hai…
O mera khwab,meri chahat “miss invisible” hai...




No comments:

Post a Comment